Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Nisar Main Teri Galiyo Pe
|
Ghulam Mustafa Khan | Ghulam Mustafa Khan | ||||
Aagaman (1984) | Faiz Ahmed Faiz | ||||||
nisar main teri galiyo pe ae watan ke jaha
chali hai rasam ke koi na sar utha ke chale
nisar main teri galiyo pe ae watan ke jaha
jo koi chahne wala tabafugal nikle
najar churake chale jism-o-ja bacha ke chale
nisar main teri galiyo pe ae watan ke jaha
bahut hai julm ke raste bahana jinke liye
jo chand ahle jhumte tera naam lene wale
bani hai ahle hawas multai hi munsib hi
kise vakil kare kisse munsati chahe
magar gujarne walo ke din gujarte hai
tere firaq me hi subah sham karte hai
nisar main teri galiyo pe ae watan ke jaha
yu hi humesha uljhati rahi hai julf se khal
na unki rasam nayi hai na apni reet nayi
tu hi humesha khilaye hai humne aag me phul
na unki haar nayi hai na apni jeet nayi
isi sabab se alagta gila nahi kare
tere firaq me hum dil bura nahi karte
nisar main teri galiyo pe ae watan ke jaha
jara aaj tujhse juda hai to kal hum honge
ye raat bhar ki judai to koi baat nahi
jara aaj auj pe hai taale-e-raqib to kya
ye char din ki khudai to koi baat nahi
jo tujhse aebe wafa uska waar rakhte hai
ilaje jardese lelo nihal rakhte hai
nisar main teri galiyo pe ae watan ke jaha
bujha jo roshan-e-jinda to dil ye samjha hai
ke teri maang sitaro se bhar gayi hogi
chamakte hai salasal to humne ye jana
ke ab sahar tere rukh par bhi kar gayi hogi
jara tasabure shamo sahar me jeete hai
girafat-e-saya ae diwaro dar me jeete hai
nisar main teri galiyo pe ae watan ke jaha