Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Nigaho Me Mohabbat Ka
|
Asha Bhosle | G S Kohli | ||||
Jung Aur Aman (1968) | Hasrat Jaipuri | ||||||
nigaaho me mohabbat ka jawaa paigaam le aaye
bhari mahfil me najaro ka nasheela jaam le aaye
chanchal adaaye machalti hui aage aa
kaatil ye baahe chamkti hui bijaliya
julfe udaau to ghataao ke bhi rang ude
palke uthaau to sitaare saare tut pade
ho ye aanchal gulaabi mera ye sama
sharaabi sharaabi hua chha gaya nasha
nigaaho me mohabbat ka jawaa paigaam le aaye
bhari mahfil me najaro ka nasheela jaam le aaye
bahaki hawaao se chhalke hai wo mastiya
chhane lagi dono aalam pe madhoshiya
phir ye bahaar ye khumaar ye karaar kaha
chalti hai aisi bhi hawaye baar baar kaha
ho o o mai chali machlke yu haule haule
jhumke ye saare deewaane bole aa gaya maja
nigaaho me mohabbat ka jawaa paigaam le aaye
bhari mahfil me najaro ka nasheela jaam le aaye