Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Nazar Me Bijli Badan Me Shole
|
Mahendra Kapoor | R D Burman | ||||
Puraskaar (1970) | S H Bihari | Romantic Songs | |||||
najar me bijli badan me shole
mila hai dilbar nayi ada ka
sitam hai jalim ka muskurana
hai iska gussa gazab khuda ka
najar me bijli badan me shole
mila hai dilbar nayi ada ka
sitam hai jalim ka muskurana
hai iska gussa gazab khuda ka
tumhari tamanna me aye jane jana
main nafrat ke ye ghut peeta rahunga
tumhari kasam hai ke main zindagi bhar
yahi aarzu leke jeeta rahunga
tumhari ye zulfo ko chuke hi aaye
kabhi to koi jhoka idhar bhi hawa ka
najar me bijli badan me shole
mila hai dilbar nayi ada ka
sitam hai jalim ka muskurana
hai iska gussa gazab khuda ka
agar ye jawani ki sokhi na hogi
to kisko ye duniya kayamat kahegi
kisi ke mitaye se kab mit saki hai
mohabbat rahi hai mohabbat rahegi
balaa se ye adaye meri jaan lele
mujhe to in adao se pyar hai balaa ka
najar me bijli badan me shole
mila hai dilbar nayi ada ka
sitam hai jalim ka muskurana
hai iska gussa gazab khuda ka
najar me bijli badan me shole
mila hai dilbar nayi ada ka
sitam hai jalim ka muskurana
hai iska gussa gazab khuda ka