The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Nawaazish Karam Shukriyaa Meharabaani
0
Mehdi Hassan A Hameed
The Finest Ghazals of Mehdi Hassan (Non-Film) (0) Ghazals
Lyrics of Nawaazish Karam Shukriyaa Meharabaani - नवाज़िश करम शुक्रिया मेहरबानी

nawazish karam shukriya meharbani
nawazish karam shukriya meharbani
nawazish karam shukriya meharbani
mujhe bakhsh di aapne zindagaani
nawazish karam shukriya meharbani
nawazish karam shukriya meharbani

jawani ki jalti hui dopahar me
ye julfo ke saye ghanere ghanere
ajab dhup chhanv ka aalam hai taari
mahkta ujala chamakte andhere
zami ki faza ho gayi aasmani
nawazish karam shukriya meharbani
mujhe bakhsh di aapne zindagaani
nawazish karam shukriya meharbani

labo ki ye kaliya khili adh khili si
ye makhnur aankhe gulabi gulabi
badan kaa ye kundan sunaharaa sunaharaa
ye kad hai ki chhuti huyi maahtabi
humesha salamat rahe ye jawani
nawazish karam shukriya meharbani
mujhe bakhsh di aapne zindagaani
nawazish karam shukriya meharbani

ye lahra ke chalne ki jaalim adaye
fizao me shokhi ghuli ja rahi hai
najar jis taraf bhi uthai hai tumne
udhar ek bijli giri ja rahi hai
jise dekh lo tum na maange wo pani
nawazish karam shukriya meharbani
mujhe bakhsh di aapne zindagaani
nawazish karam shukriya meharbani
nawazish karam shukriya meharbani
nawazish karam shukriya meharbani