Lyrics of Nasib Men Jisake Jo Likhaa Thaa - नसीब में जिसके जो लिखा था
nasib me jiske jo likha tha vo teri mahfil me kaam aaya

kisi ke hisse me pyaas aayi, kisi ke hisse me jaam aaya
nasib me jiske jo likha tha
mai ik fasana hu bekasi ka, ye haal hai meri zindagi ka

ye haal hai meri zindagi ka
na husn hi mujhko raas aaya, na ishq hi mere kaam aaya
nasib me jiske jo likha tha
badal gayi teri mazile bhi, bichad gaya mai bhi karva se

bichad gaya mai bhi karva se
teri muhabbat ke raste me na jaane ye kya makam aaya
nasib me jiske jo likha tha
tujhe bhulane ki koshishe bhi, tamaam nakam ho gayi hai

tamaam nakam ho gayi hai
kisi ne zikr-e-vafa kiya jab zuban pe tera hi naam aaya