Lyrics of Nakhrile Nakhrile Nakhrile, Do Raseele - नखरीले नखरीले नखरीले, दो रसीले
lahu luha hua hai falak
yeh kaisa loha pighla hai
ek suraj doob gaya peeche
ek suraj saamne nikla hai
mana wana ishq vishq pe zor to nahi
dil me dum hai haal chaal kamzor to nahi
ishq ki chaal pe maat manzur hai
are o bande mauka hai
are o jalne walne ka mauka hai
ho ishq me jalke aag hui jab mojjaam hua
ha ishq me jalke aag hui to
nakhrile nakhrile nakhrile, do raseele
humpe do nashili naino ki aa ha bochhaar ho gayi
ho nakhrile, nakhrile do raseele
humpe do nashili naino ki aa ha bochhaar ho gayi
o lawariso ki na pucho, unka sagga ek dil hai
lawariso ka na koi, ha unka bada ek dil hai
hai sajde me aankhe wo uthaye
hum uske hai to jalwa dikhaye
hai sajde me aankhe wo uthaye
hum uske hai to jalwa dikhaye
ho chhaliya chhal gaye, chhal gaye
chhal gaye wo naina
khatm kare jo haaye, bhasm kare jo hai
sham bujhaye aur jalaye
kat jaaye ratiya, ratiya, ratiya, ratiya
chal na raakh ho jaye
arey o bande mauka hai
arey o jalne walne ka mauka hai
ho ishq me jalke aag hui to
nakhrile nakhrile, nakhrile do raseele
humpe do nashile naino ki aa ha bochhar ho gayi
dardile, dardile kisse saare dardile
dardile rishte saare dardile
ye kisse saare dardile, ye rishte saare dardile
afsaane saare hote hai dardile
teri aankho ki aab-o-hawa me jiyu
teri maujudgi ki fiza me jiyu
teri baato se hum to badal jaate hai
meri aankhon ke mausam badal jaate hai
ho mausam sardi, mausam garmi
sard bhi tu hai, garam bhi tu hai
aag lage, pyaas lage, pyaas lage, aag lage
jal jaane de ho
nakhrile nakhrile, nakhrile do raseele
humpe do nashili naino ki aa ha bochhar ho gayi
ha nakhrile, nakhrile do raseele
humpe do nashile naino ki aa ha bochhar ho gayi