Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Nakhre Wali Hamari Dulhaniya Hai
|
Amit Kumar | Usha Khanna | Jeetendra, Ashok Kumar | |||
Anokha Bandhan (1982) | Nida Fazli | Funny Songs | |||||
nakhre wali nakhre wali hamari dulhaniya
nakhre wali hamari dulhaniya hai
hum pakaye or khaye wo jab jagaye so jaye wo
hame wo sataye hum bulaye wo na aaye haye haye haye haye
dekho kaisi ye nyari dulhaniya hai
nakhre wali hamari dulhaniya hai
are dhup chade tak sokar jage din bhar wo sustaye
leti leti khatiya tode baithi baithi khaye
hamri patni hokar bhi wo hamri patni hokar bhi wo
hmpe hukam chalaye haye haye haye haye
aisi afat aisi afat aisi afat ki mari dulhaniya hai
nakhre wali hamari dulhaniya hai
aisa byah rachaya hamne din me dekhe tare
ghar me joru hote bhi bhatke dware dware
sasuri ko jo dat pilaye sasuri ko jo dat pilaye to sala aakar mare
do dhari do dhari do dhari katari dulahniya hai
nakhre wali hamari dulhaniya hai
bhul ke apna kurta dhoti missi kajal laye
pan gilori kha nahi paye sadi use dilaye
sone se pahle do ghante sone se pahle do ghante
are sone se pahle do ghante uske pair dabaye
nar jaisi nar jaisi nar jaisi ye nari dulhaniya hai
nakhre wali nakhre wali hamari dulhaniya
nakhre wali hamari dulhaniya hai
hum pakaye or khaye wo jab jagaye so jaye wo
hame wo sataye hum bulaye wo na aaye haye haye haye haye
dekho kaisi ye nyari dulhaniya hai
nakhre wali hamari dulhaniya hai