Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Nain Milaakar Chain Churaana, Kiska Hai Yeh Kaam
|
Mohammed Rafi | Kalyanji Anandji | ||||
Aamne Saamne (1967) | Anand Bakshi | ||||||
nain milaakar chain churaana kiska hai yeh kaam

humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam

woh aaya toh kho gayi yeh saari mehfil
woh aaya toh kho gayi yeh saari mehfil
dekha iss andaaj se sab kho baithe dil
thoda sa woh meherbaan thoda sa kaatil
thoda sa woh meherbaan thoda sa kaatil
woh jiski har ek ada par laakho hai iljaam
woh jiski har ek ada par laakho hai iljaam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
nain milaakar chain churaana kiska hai yeh kaam
are humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
kiska gussa hai bhala jispe aaye pyaar
kiska gussa hai bhala jispe aaye pyaar
aisa dushman haay re jisko samajhe yaar
socho toh woh kaun hai sharmila dildaar
socho toh woh kaun hai sharmila dildaar
jiski mast nasheeli najre aisi jaise jaam
jiski mast nasheeli najre aisi jaise jaam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
nain milaakar chain churaana kiska hai yeh kaam
humse puchho hamko pata hai uss jaalim ka naam
jaagi-jaagi si jara kuchh soyi-soyi
jaagi-jaagi si jara kuchh soyi-soyi
aankhe bhi uss shokh ki hai khoyi-khoyi
shola hai woh phul hai ya sapna koyi
shola hai woh phul hai ya sapna koyi
jiski khaatir koyi bhi ho sakta hai badnaam