Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Nahi Puchh Mujhse Zalim
|
Suman Kalyanpur | S Mohinder | ||||
Bekhabar (1965) | Raja Mehdi Ali Khan | ||||||
nahi puchh mujhse zalim
mere dil ka haal kya hai
nahi puchh mujhse zalim
mere dil ka haal kya hai
jo jaba se kuch kahu main
ye meri majaal kya hai
majaal kya hai o
main nahi hu teri manzil
tu hai kyu mera diwana
tujhe kis tarah batau
main nahi tera nishana
mera dil ye jaanta hai
ke tera khayal kya hai
nahi puchh mujhse zalim
mere dil ka haal kya hai
jo jaba se kuch kahu main
ye meri majaal kya hai
majaal kya hai o
ye dare dare se arma
ye dabi dabi si aahe
ye dare dare se arma
ye dabi dabi si aahe
main kidhar se bach ke jaau
ke dikhaye de na raahe
jo jala de muskurake
wo hasin chaal kya hai
nahi puchh mujhse zalim
mere dil ka haal kya hai
jo jaba se kuch kahu main
ye meri majaal kya hai
majaal kya hai o
jo ladi aake mujhse
wo najar bahut buri hai
naahi meri jaan le le
ye najar nahi chhuri hai
kisi begunah ko mara
to kaho kamaal kya hai
nahi puchh mujhse zalim
mere dil ka haal kya hai
jo jaba se kuch kahu main
ye meri majaal kya hai
majaal kya hai o