Lyrics of Naaz Tha Jis Par Mujhe - नाज़ था जिस पर मुझे
naaz tha jis pe, mere sine me wo dil hi nahi

ab ye shisha kisi tasvir ke kabil hi nahi
mai kaha jaau ke meri koi manjil hi nahi

pher li mujhse najar, apno ne begano ne
pher li mujhse najar, apno ne begano ne
mera ghar luta mere ghar ke hi mehmano ne

jo mujhe pyar kare, aisa koi dil hi nahi
mai kaha jaau ke meri koi manjil hi nahi
naaz tha jis pe, mere sine me wo dil hi nahi
dil bahal jaye khayalat ka rukh mod saku

mai jaha baith ke har ahde wafa tod saku

meri takdir me aisi koi mehfil hi nahi
mai kaha jaau ke meri koi manjil hi nahi
naaz tha jis pe, mere sine me wo dil hi nahi
do jaha shok me hai, aaj fiza bhi chup hai

kis se fariyad karu ab to khuda hi chup hai

ye wo afsana hai jo sunne ke kabil hi nahi