Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Naaummid Ho Ke Bhi Duniyaa Me Jiye Jaate Hai
|
Lata Mangeshkar | Chitalkar Ramchandra | Nigar Sultana, Shyam, Pran, Suraiya | |||
Sangeeta (1950) | Pyarelal Santoshi | ||||||
naummed ho ke bhi duniya me jiye jate hai
dil tut gaya phir bhi hum pyar kiye jate hai
naummed ho ke bhi
jin aankho me rahti thi ek pyar bhari masti
un aankho me aansu hai barbaad hui basti

aansu bhi hum apne ro ro ke piye jate hai
aansu bhi hum apne ro ro ke piye jate hai
dil tut gaya phir bhi hum pyar kiye jate hai
naummed ho ke bhi
bedard zamane ne rahne na diya mil ke
sab tut gaye sapne armaan bhare dil ke
bedard zamane ne rahne na diya mil ke
sab tut gaye sapne armaan bhare dil ke
ruthi huyi kismat se fariyaad kiye jate hai