Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Naari Tere Jivan Ki Ye Karun Kahani
|
Mohammed Rafi | Chitragupt | ||||
Veer Babruvahan (1950) | Anjum Jaipuri | ||||||
naari tere jivan ki ye karun kahani
man me hai lagi aag to
aankho me hai pani
naari tere jivan ki ye karun kahani
man me hai lagi aag to
aankho me hai pani
aankho me hai pani
sapno ka koi aaj mahal tod chala hai
jivan me jo aaya tha mukh mod chala hai
dukh dard ke saathi ki, koi baat na maani
koi baat na maani
man me hai lagi aag to
aankho me hai pani
aankho me hai pani
sansaar tera khel ke hasto ko rulaya
sansaar tera khel ke hasto ko rulaya
nirdosh ke mathe pe kya rang lagaya
ye kya rang lagaya
pahchane nahi aap koi
pahchane nahi aap koi apni nishani
koi apni nishani
man me hai lagi aag to
aankho me hai pani
aankho me hai pani
naari tere jivan ki ye karun kahani
man me hai lagi aag to
aankho me hai pani
aankho me hai pani