Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Na Ro Taqdir Ko Aye Dil
|
Asha Bhosle | Hansraj Behl | ||||
Kashmir (1951) | Sarshar Sailani | ||||||
na ro taqdir ko ae dil
na kar shikwa jamane se
na kar shikwa jamane se
de gam ki aag bhar ke git
tere aansu bahane se
tere aansu bahane se
idhar paida hui ummid
udhar jaale fazaa aayi
karam apna dikhane ko
mere sar har bala aai
mohabbat ho gai bigadi
hui mere aashiyaane se
na ro taqdir ko ae dil
na kar shikwa jamane se
koi maane na maane
maanta hain isko dil mera
musibat ke ghataao ne
the mere chaand ko ghera
milega kya tujhe ae asmaa
mujhko satane se
na ro taqdir ko ae dil
na kar shikwa jamane se
mohabbat tujhko deti hain
vafa ke vaaste aaja
yahi hain vaqt aane ka
khuda ke vaaste aaja
hajaaro aaften aati hain
ek tere na hone se
na ro taqdir ko ae dil
na kar shikwa jamane se
na kar shikwa jamane se
de gam ki aag bhar ke git
tere aansu bahane se
tere aansu bahane se