Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Na Kisi Ki Aankh Ka Noor Hun
|
Rajkumari | Shaukat Ali | ||||
Toote Tare (1948) | Bahadur Shah Zafar | ||||||
na kisi ki aankh ka noor hu
na kisi ki aankh ka noor hu
na kisi ke dil ka karar hu
jo kisi ke kaam na aa sake
main wo ek mushthe gubar hu
na kisi ki aankh ka noor hu
na to main kisi ka habib hu
na to main kisi ka rakib hu
jo bigad gaya wo nasib hu
jo ujad gaya wo dayar hu
na kisi ki aankh ka noor hu
mera rang roop bigad gaya
mera yaar muhjse bichhad gaya
jo chaman fiza se ujad gaya
main usi ki fasle bahar hu
na kisi ki aankh ka noor hu
pay fatiha koi aaye kyo
koi char phool chadhaye kyo
koi aake shamma jalaye kyo
main wo bekasi ka majar hu
na kisi ki aankh ka noor hu
na kisi ke dil ka karar hu
jo kisi ke kaam na aa sake
main wo ek mushthe gubar hu
na kisi ki aankh ka noor hu.