Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mushkil Me Hai Kon Kisi Ka
|
S P Balasubramaniam | Laxmikant Pyarelal | ||||
Angaar (1992) | Anand Bakshi | ||||||
muskil me hai kaun kisika samjho is raz ko
muskil me hai kaun kisi ka samjho is raz ko
lekar apna nam kabhi tum khud ko awaz do

jine ka na shok rahe to kya rakha hai jine me

ek kaidi ki tarah pada hai kab se ye dil sine me
pinjare ka darwaja todo panchhi ko parwaz do
lekar apna nam kabhi tum khud ko awaz do
muskil me hai kaun kisi ka samjho is raz ko
muskil me hai kaun kisi ka
dosto ye jindgi ek imtihaan hai
dosto ye jindgi ek imtihaan hai
jeena to hai mushkil marna aasan hai
oo jeene walo jindgi ko koi andaaz do
lekar apna nam kabhi tum khud ko awaz do
muskil me hai kaun kisi ka samjho is raz ko
muskil me hai kaun kisi ka
aur nahi to kam se kam itni to taklif karo
logo ki tarifo me kabhi apni bhi tarif karo
sabse to tum khush ho apne aap se kyu naraj ho