Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mujhse Puch Mere Meet
|
Kishore Kumar | Laxmikant Pyarelal | ||||
Dil Aur Deewaar (1978) | Anand Bakshi | ||||||
mujhse puche mere meet
geet kaise bante hai
kya hai bhed kya hai reet
geet kaise bante hai
mujhse puche mere meet
pagal hote hai kuch log
jinko lagta hai ye rog
pagal hote hai kuch log
baithe aahe bharte hai
kagaj kale karte hai
dil me aati hai jo baat
likhte jate hai din raat
uspe un diwano ko
kisi se ho jati hai preet
geet aise bante hai
mujhse puchhe mere meet
mujhse puchhe mere meet
geeto ke hai roop anek
unme se ye roop hai ek
geeto ke hai roop anek
unme se ye roop hai ek
gauri ke matvare nain le jate hai
man ka chain
gauri ki matvari chal ban jati hai
sur aur tal
gauri ke do mithe bol
ban jate hai man sangeet
geet aise bante hai
mujhse puche mere meet
geet kaise bante hai
kya hai bhed kya hai reet
geet kaise bante hai
mujhse puchhe mere meet