The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Mujhe Naulakha Manga De Re
0
Asha Bhosle, Kishore Kumar Bappi Lahiri Amitabh Bachchan, Jaya Prada
Sharaabi (1984) Anjaan Dance Songs, Marriage Songs
Lyrics of Mujhe Naulakha Manga De Re - मुझे नौलख्खा मंगा दे रे

ang ang tera rang rachaake aisa karu singaar
jab jab jhaanjhar jhankaau main khanake man ke taar
mujhe naulakha manga de re o saiya deewaane
mujhe naulakha manga de re o saiya deewaane
mujhe naulakha manga de re o saiya deewaane
maathe pe jhoomar kaanon mein jhumka
paanv mein paayaliyaa haatho mein ho kangana
mujhe naulakha manga de re o saiya deewaane
tujhe main, tujhe main
tujhe gale se laga loongi o saiya deewaane
mujhe angiya sila de o saiya deewaane
tujhe main, tujhe main
tujhe seenr se lagaa loongi o saiya deewaane
mujhe naulakha manga de re o saiya deewaane

salma sitaron ki jhilmil chunariya aau pahenke to fisle najariya
mujhe ko sajaa de balmaa sajaa de mujhe ko sajaa de balmaa
kori kuwari yeh kamseen umariya tere liye naache sajke sanwariya
laali manga de sajna sooraj se laali manga de sajna
tujhe main, tujhe main
tujhe hothon se laga loongi o saiya deewaane
tujhe hothon se laga loongi o saiya deewaane
mujhe naulakha manga de re o saiya deewaane

main to saari umariya lootaye baithi
balma do akhiyon ki sharaat mein
main to janmon ka sapna sajaaye baithi
sajanaa kho ke teri mohabbat mein
maana re maana yeh ab maine maana
hota hai kya saiyan dil ka lagana
roke yeh duniya ya roothe zamana
jaana hai mujhko sajan ghar jaana ho
jaise kajra hase, jaise kajra hase, jaise kajra hase, jaise kajra hase
waise akhiyon mein tum muskurana
ho kirnon se yeh maang meri sajaa de
poonam ke chanda ki bindiya manga de
tujhe main, tujhe main
tujhe maathe pe sajaa loongi o saiya deewaane
tujhe maathe pe sajaa loongi o saiya deewaane

log kehte hai main sharaabi hoon
log kehte hai main sharaabi hoon
tum ne bhi shaayad yehi soch liye haan
log kehte hai main sharaabi hoon

kissi pe husn ka guroor jawaani ka nasha
kissi ke dil pe mohabbat ki rawaani ka nasha
kissi ko dekhke saanso se ubharta hai nasha
bina piye bhi kahin hadh se guzarta hai nasha
nashe mein kaun nahin hai mujhe bataao zara
kisse hai hosh mere saamne to laao zara
nasha hai sab pe magar rang nashe ka hai juda
khili khili hui subah pe hai shabnam ka nasha
hawa pe khushbu ka baadal pe hai rimjhim ka nasha
kahin suroor hai khushiyon ka kahin gam ka nasha
nasha sharaab mein hota to naachti botal
maikade jhoomte paimaanon mein hoti hulchul
nasha sharaab mein hota to naachti botal
nashe mein kaun nahin hai mujhe bataao zara
nashe mein kaun nahin hai mujhe bataao zara

log kehte hai main sharaabi hoon
thodi aankhon se pilaa de re sajni deewaani
thodi aankhon se pilaa de re sajni deewaani
tujhe main, tujhe main
tujhe saanso mein basaa loonga sajni deewaani
tujhe naulakhaa manga doonga sajni deewaani
tujhe naulakhaa manga doonga sajni deewaani