Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mujhe Hero Bana Lijiye
|
Manna Dey | Babul | ||||
Reshmi Rumal (1961) | Raja Mehdi Ali Khan | ||||||
ghar se bhaag aaya
main ghar se bhaag aaya hun
mujhe hero bana lijiye
mujhe hero bana lijiye
main jo tankha mangunga
usme zero ghata lijiye
mujhe hero bana lijiye
main ghar se bhaag aaya hun
main thoda ro bhi sakta hun
main thoda ga bhi sakta hun
bahut hi besaram hun main
magar sharma bhi sakta hun
pata likha diya hai dekhiye ji
mujhko bula lijiye
are are ghar se bhaag aaya
main ghar se bhaag aaya hun
mujhe hero bana lijiye
tauba mujhe hero bana lijiye
ati julfo ki ek patli si lat
maathe pe thodi hai
gujaara dekhiye patlun bhi niche se modi hai
gujaara dekhiye
haay gujaara dekhiye patlun bhi niche se modi hai
agar kuch aeb baaki ho to makeup me chhupa lijiye
main ghar se bhaag aaya hun
mujhe hero bana lijiye
prabhu ji mujhe hero bana lijiye
kasam allah ki main aap ke bacche khilaaunga
kasam bhagwaan ki main aap ka khana pakaunga
kasam hai waah guru ji ha kasam hai waah guru ji
kaam ka putar bana lijiye
kasam hai waah guru ji kaam ka putar bana lijiye
are are ghar se bhaag aaya
main ghar se bhaag aaya hun
mujhe hero bana lijiye
mujhe hero bana lijiye
jo ek din ban gaya hero
to ek ek ko saja dunga
main ? ke liye sab hansne waalo ko rula dunga
mujhe dar pe khada karke
sata lijiye rula lijiye
sata lijiye rula lijiye
are are ghar se bhaag aaya
main ghar se bhaag aaya hun
mujhe hero bana lijiye
mujhe hero bana lijiye