Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mujhe Bhakti Bhajan Kuch Yaad Nahi
|
Hemlata | Ravindra Jain | ||||
Raja Harishchandra (1979) | Ravindra Jain | ||||||
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi
tere pujan ko prasad nahi
main to itna janu jag ke rachaiya
tere hatho me hain ab meri naiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi
karm sindhu din ke bandhu
ho sab ke rakhwale
hum bhi to hain bhagwan tere
mukut ke tute taare
kyu humko tu bhul gaya hain
kyu humse tu ruth gaya hain
main to itna janu jag ke rachaiya
tere hatho me hain ab meri naiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi
hoti hain maa baap se jab koi baat manwani
bhar lata hu dono aankho me badal jitna pani
tu jo chahe to ro sakta hu
tere charno ko dho sakta hu
main to itna janu jag ke rachaiya
tere hatho me hain ab meri naiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi
bhagwan main bhi banke bada dukhiyo ki madad karunga
tu meri maa ka hath bata de
main tujhe chubhan dunga
karde jo tu ek ishara
chutki me bane kaam sara
main to itna janu jag ke rachaiya
bade dukh me fansi hain meri maiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi
tere pujan ko prasad nahi
main to itna janu jag ke rachaiya
tere hatho me hain ab meri naiya
koi tose pahle nahi tere baad nahi
mujhe bhakti bhajan kuch yaad nahi