Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Muddaton Baad Wo Surat
|
Hariharan | Hariharan | ||||
Jashn (Hariharan) (0) | Qaiser-Ul-Jafri | Ghazals | |||||
muddaton baad wo surat jo dikhayi di hai
muddaton baad wo surat jo dikhayi di hai
dil ki dhadkan mujhe aankhon se sunai di hai
muddaton baad wo surat jo dikhayi di hai
dil ki dhadkan mujhe aankhon se sunayi di hai
muddaton baad
sham se jaag rahi hain wo nidasi aankhe
sham se jaag rahi hain wo nidasi aankhe
doobte chand ne khidki se badhai di hai
doobte chand ne khidki se badhai di hai
dil ki dhadkan mujhe aankho se sunai di hai
muddaton baad
us janam mein bhi mulaqat ki ummid nahi
us janam mein bhi mulaqat ki ummid nahi
is janam ne to janam bhar ki judaai di hai
is janam ne to janam bhar ki judaai di hai
dil ki dhadkan mujhe aankhon se sunai di hai
muddaton baad
humne pehle bhi ye khwabo ka safar dekha hai
humne pehle bhi ye khwabo ka safar dekha hai
dhoop itni thi ki sehra ne duhai di hai
dhoop itni thi ki sehra ne duhai di hai
dil ki dhadkan mujhe aankho se sunayi di hai
muddaton baad woh surat jo dikhayi di hai
dil ki dhadkan mujhe aankho se sunai di hai
muddaton baad