Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mud Kar Bhi Na Dekh, Udhar Chali Jaa Jaanaki
|
Manna Dey | Chitalkar Ramchandra | Vyjayantimala, Anjali Devi, Ganesh, Agha | |||
Devta (1956) | Rajinder Krishan | ||||||
mud kar bhi na dekh suhagan mahalo ki ye shaan
is duniya me ab tera bas pati hi hai bhagwan
udhar chali ja janki jidhar chale tere ram
chhod na apna rasta le himmat se kaam
janki le himmat se kaam
udhar chali ja janki jidhar chale tere ram
chhod na apna rasta le himmat se kaam
janki le himmat se kaam
bharat ki santan hai tu sawitri ka rup
bharat ki santan hai tu sawitri ka rup
sita ban kar sahti jana ban ban ki tu dhup
hanste hanste ladti ja tu jiwan ka sangram
chhod na apna rasta le himmat se kaam
janaki le himmat se kaam
pativrata tere tej ke aage suraj bhi sharmaye
pativrata tere tej ke aage suraj bhi sharmaye
tere ek ishare se ye badal jal barsaye
tere ek ishare se ye badal jal barsaye
tere jaisi satiyo se hi bharat ka hai naam
chhod na apna rasta le himmat se kaam
janaki le himmat se kaam
pati kahe to phul chhod kar kante gale laga le
pati kahe to phul chhod kar kante gale laga le
pritam ke charno me apna tu sansar basa le
pritam ke charno me apna tu sansar basa le
kutiya me bhi tujhe milega mahalo ka aram
chhod na apna rasta le himmat se kaam
janaki le himmat se kaam
udhar chali ja janaki jidhar chale tere ram
chhod na apna rasta le himmat se kaam
janki le himmat se kaam