Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
More Saiyya Ji Ne Bheji Chunri
|
Zohrabai Ambalewali | Naushad | ||||
Pahele Aap (1944) | D N Madhok | ||||||
more saiya ji ne bheji chunri
rangu mai ise pyar ke rangdar
more saiya ji ne bheji chunri
rangu mai ise pyar ke rangdar
sun sun ri chunariya malmal ki
sun sun ri chunariya malmal ki
tose kahu mai balam ji ki bat kal ki
tose kahu mai balam ji ki bat kal ki
chori chori ched gaye man ke wo tar
chori chori ched gaye man ke wo tar
rangu mai ise pyar ke rangdar
saiya ji ne
more saiya ji ne bheji chunri
rangu mai ise pyar ke rangdar
ab aayi ab aayi basant ritu aayi
yad aaye yad aaye aaye wo harjai
ab aayi ab aayi basant ritu aayi
yad aaye yad aaye aaye wo harjai
koyal bole ku ku me more jiya ki pukar
koyal bole ku ku me more jiya ki pukar
rangu mai ise pyar ke rangdar
saiya ji ne
more saiya ji ne bheji chunri
rangu mai ise pyar ke rangdar
daga deke chale na jana auro ke sang
daga deke chale na jana auro ke sang
tera uncha ude re more saiya patang
tera uncha ude re more saiya patang
mar jaungi dena na mohe virah ki mar
mar jaungi dena na mohe virah ki mar
rangu mai ise pyar ke rang dar
saiya ji ne
more saiya ji ne pyar ki chunri
rangu mai ise pyar ke rangdar
jiya bole jiya bole sajan ghar jana
more naina more naina kahe sajan aana
jiya bole jiya bole sajan ghar jana
more naina more naina kahe sajan aana
jiye lage kahi na ab to bin hamar
jiye lage kahi na ab to bin hamar
rangu mai ise pyar ke rang dar
saiya ji ne
more saiya ji ne bheji chunri
rangu mai ise pyar ke rangdar