Lyrics of Mohabbat Yeh Ho Jaaye To - मोहब्बत ये हो जाये तो
aankh hai abhi namm zara si
zindagi dhoondhe wajah si re
ehsaas wo phir tera gham bhar de
jab mujhe tu tanha sa kar de re
mere lafz tu hi jaan bhi, mera ishq pe iman bhi
sajde kare insan hi, dikhe tujhme phir jahan bhi
jitna bhulaye utna rulaye huve tum paraye jo
ab jo bhi chahe jitna bhi chahe phir bhi rulaaye wo
mohabbat yeh ho jaye toh, mohabbat yeh ho jaye to
mohabbat yeh ho jaye toh, mohabbat yeh ho jaye to
aansuon ko mile na koi wajah khushi ki
dard hai ke ye dil se jaata hi nahi
aake thehra hai mere sine me tera gam is tarah
phool sehra me koi khilta hai sawan ka jis tarah
lagte hain sare apne paraye dil chot khaye to
ab jo bhi chaahe jitna bhi chaahe phir bhi rulaye wo
mohabbat ye ho jaye to mohabbat ye ho jaye to
mohabbat ye ho jaye to mohabbat ye ho jaye to
lamha lamha hua hai mujhse yun ajnabi
jaise ki zindagi mein zindagi hi nahi
namm hai yeh aankh, gum hai alfaz
khamosh hai zuban
chhod aaya main dhadkano ko, tha tune chhoda jahan
jiske liye ho sapne sajaye wohi tod jaaye to
ab jo bhi chahe jitna bhi chahe phir bhi rulaye wo
mohabbat yeh ho jaye toh, mohabbat ye ho jaye toh
mohabbat yeh ho jaye toh, mohabbat ye ho jaye toh