Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mohabbat Me Hame Ye Aakhri Sadma
|
Shamshad Begum | Shyam Sundar | ||||
Actress (1948) | Nakshab Jarchvi | ||||||
mohabbat me hume ye aakhiri sadma uthana hai
jise dil yaad karta hai
use dil se bhulana hai
mohabbat me hume ye aakhiri sadma uthana hai
jise dil yaad karta hai
use dil se bhulana hai
jara ae dekhne waalo
jara ae dekhne waalo
meri majburiyaa dekho
meri majburiyaa dekho
kaleje pe chhuri chalti hai
lekin muskurana hai
jise dil yaad karta hai
use dil se bhulana hai
mohabbat me hume ye aakhiri sadma uthana hai
jise dil yaad karta hai
use dil se bhulana hai
vo jisse koshisho ke baad bhi najre na bachti thi
unhi se aap hi se, unhi se aap hi se
ab hume daman bachana hai
jise dil yaad karta hai
use dil se bhulana hai
mohabbat me hume ye aakhiri sadma uthana hai
jise dil yaad karta hai
use dil se bhulana hai
kisi majbur ki aanhe
kisi bekas ki fariyaade
kisi bekas ki fariyaade
yaha koi na samjhega
yaha koi na samjhega
ye duniya hai jamana hai
jise dil yaad karta hai
use dil se bhulana hai
mohabbat me hume ye aakhiri sadma uthana hai
jise dil yaad karta hai
use dil se bhulana hai