Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mohabbat Ho Gayi Hai, Qayaamat Ho Gayi Hai
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Usha Khanna | ||||
Sone Ka Dil Lohe Ke Hath (1978) | Asad Bhopali | Qawwalis | |||||
jhum kar aaya achanak sare mahfil katil
ha dekhne wale pukar uthe ke katil katil
jal se julfo ke ab bach ke kaha jayega
ho gaya hai mere diwano me shamil katil
magar milte hi najare bewafa bewdard katil
kabhi kahta hai dil mujhe kabhi mai kahati hu dil se
mohabbat ji mohabbat ho gayi hai
mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
ha mai katil hu mujhe hai ikarar ye bhi sunle ke tujhpe marta hu
mujhko pahchana jin nigaho ne unko jhuk kar salam karta hu
ha garur e husn ka katil hu mai pyar kar aa pyar kar
pyar karne ke kabil hu mai tu meri mahbuba mai aashik tera
tu hai meri jan tera dil hu mai isiliye to janeman mohabbat
mohbbat ji mohabbat mohabbat ha mohabbat
mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
laila majnu ki tarah heer ranjhe ki tarah
sohni mahiwal jaisi sheeri farhad jaisi
mujhe teri mujhe teri tujhe meri jarurat ho gayi hai
mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
mohabbat ho gayi hai
katil ki mohabbat kya katil ki ibadat kya
katil ki ibadat kya katil hai idhar katil katil hai udhar katil
katil hai idhar katil katil hai udhar katil
tum to rang rup ke sadayi khudgarz ho bewafa harzai ho
tum jutha pyar jatate ho bhawre ki tarah mandrate ho
tum jutha pyar jatate ho bhawre ki tarah mandrate ho
tum najar aate nahi phulo ke murjhane ke bad
fere lete ho najar matlab nikal jane ke bad
ishk ko ruswa hame badnam tum karte ho tum
apni hi izzat ko khud nilam tum karte ho tum
har julm sitam has ke kiya hamne gawara
dil tumko diya kam nahi ahsan tumhara
jante ho kyu mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
ishk mohabbat ke sath tane hai hazar
sukriya eye meri mahbuba meri jane bahar
jhuthe sache ko parakh fir tu mujhe ilzam de
apni is katil jawani ko bhi koi nam de
eye mere khyalo ki mallika husn tera galib ki gajal hai
surat hai azanta ki murat or jism jawabe tajmahal hai
julf sawan ki ghataye hai magar katil hai
iski rangin adaye hai magar katil hai
rup rangin salona hai magar katil hai
sang pighla hua sona hai magar katil hai
de dil dage jigar sabko dikha sakta hu mai
sainkdo ilzam tujh par bhi laga sakta hu mai
magar kya karu mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
dhamkiya yu husn walo na do hazarat
chalo chup raho muh na khulwao hazrat
tum ho ahsan faramosh aage mat bolna khamosh
dekho humse nahi uljhana hamko bhi kam na samjhna
hum kisi se nahi darte hum bhi parwah nahi karte
jaa hatheli par liye hai hum bhi sholo par jiye hai
hum to har gum ki dawa hai hum bhi mohbbat ke khuda hai
humko pahchan gaye tum humko bhi man gaye tum
fir kyu bin bat ka jhagda fir kyu din rat ka jhagda
tum bhi katil mai bhi katil tu masiha mai masiha
tu meri julfo me chhup ja tu meri baho me aaja
bhul ke sare sikwe sikayat aao gale lag jaye hum tum
husn ka chand or pyar ka suraj banke
jaha pe chhaye hum tum mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai
mohabbat ho gayi hai kayamat ho gayi hai