The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Mohabbat Ek Wada Hai, Ye Wada Tod Mat Jaana
0
Hemlata, Asha Bhosle Laxmikant Pyarelal Shashi Kapoor, Danny Denzongpa, Rekha
Kali Ghata (1980) Anand Bakshi Sad Songs
Lyrics of Mohabbat Ek Wada Hai, Ye Wada Tod Mat Jaana - मोहब्बत एक वादा है ये वादा तोड़ मत जाना

likha hai aasmano par mohabbat ka ye afsana
mahal se sair gulshan ko chali shahjadi ruksana
chaman me jaha the hazaro gulab
wahi ek shikari bhi tha ae janab
kiya usne masum dil ka shikar
unhe ho gaya aanhko aanhko me pyar

mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana
mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana
bane ho humsafar to raaste me chhod mat jana
mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana
mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana
mohabbat ek wada hai, ruksana ruksana
tere hoth ka aashiq tere nam ka diwana
mere dil me hai tu, meri aanhko me tu

shama banke mai jalti hu khuda hafiz mai chalti hu
mera dil sath le jana yahi kal rat fir aana

mohabbat ke do phul khilne lage
zamane se chhupke wo milne lage
magar ek shab hua kya sabab
wo jane jigar na aayi najar
sanam bekarar kiya intzar
bahut der bad hua ishq shaad
wo aayi pari magar ae nasib
na wo aan thi na wo shan thi
na shahi libaz na andaz-e-khaas
ruksana kya hua ye kya hal bana rakha hai
yahi hai rasm-e-duniya mai bagawat kar nahi sakti
kisi shahri se shahjadi mohabbat kar nahi sakti
mera anjam kya hoga jo manjure khuda hoga
juda ho jayenge hum kya, kabhi ye ho nahi sakta
zamane ke sabhi dastur ab mai tod aayi hu
wo takhto taaj wo daulat sabhi hi kuch chhod aayi hu
mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana
mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana
bane ho humsafar to raste me chhod mat jana
mohabbat ek wada hai

mubarak ho ye aazadi peeyo ye jam shahjadi
nirala jaha ka ye andaz tha
shikari bada hi dagabaz tha
peela kar koi nind wali sharab
use chhodkar chal diya wo janab
dawa ka asar jab jara kam hua
khuli aankh uski bahut gham hua
khuda jane wo kho gaya tha kaha
jaha wo gaya tha wo pahuchi waha
pada mast tha wo na tha hosh me
kisi gair ladki ki aagosh me
haqiqat hai kya jab pata chal gaya
khuda ki kasam tan badan jal gaya
utarne laga uski aankho me khun
ke bas taan li usne banduk yu