Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Miyan Mera Bada Beimaan
|
Geeta Dutt, Balbir | Ravi | Meenu Mumtaz, Madhubala, Ashok Kumar, Johnny Walker | |||
Ek Saal (1957) | Prem Dhawan | Funny Songs, Ched Chad Songs | |||||
arre suno re suno re suno
suno re suno re suno suno re
ae koi mat suno bhai
ye zara ghar ka maamla hai
miyaan mera bada beimaan
meri nikli re kismat khoti
ke haay main to mar gayi re
sad gayi re
ye kiske palle pad gayi re
biwi meri badi meharmaan
mujhe mile na ghar me roti
ye roz kare khatpat re
kahe pare hat re
mere peeche peeche daude
dekho liye lathh re
mere baap ki khaaye tu kamaayi re balam
baitha ghar me tu ban ke jamaai re balam
toone aisi kari safaai re balam
na lotaa raha na thaali
are wah meri gharwaali
shauhar hoon tera naukar to nahin
johny walker hoon joker to nahin
tu biwi meri afsar to nahin
zara soch ke dena gaali haan
koi ise samjhaao re logon
akal hai iski moti
ye roz kare khatpat re
kahe pare hat re
mere peeche peeche daude
dekho liye lathh re
miyaan mera bada beimaan
meri nikli re kismat khoti
ke haay main to mar gayi re
sad gayi re
ye kiske palle pad gayi re
main aa gayi tujh se tang re
tu roz kare hai jang re
ab rahun na tere sang re
tu kaahe bada nikhattu
bigadti kyun ho
maana ke hum hain nikhattu
phir bhi tum par hain ltu
jab tak the kunwaare acche the
ab to bhaade ke tattoo
chaahe lagaa de phaansi humko
daal gale me choti
haay haay
main to mar gayi re
sad gayi re
ye kiske palle pad gayi re
biwi meri badi meharmaan
mujhe mile na ghar me roti
ye roz kare khatpat re
kahe pare hat re
mere peeche peeche daude
dekho liye lathh re
miyaa mera badaa
meharbaan
nahin iski kismat phooti
ke ab nahin khatpat re
hato jhatpat re
arre jaao bhai ghar jaao chatpat re
miyan mera
biwi meri
o miya mera
biwi meri