Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
![]() |
Milati Hai Zindagi Men Mohabbat Kabhi Kabhi
|
Lata Mangeshkar | Ravi | Mala Sinha, Dharmendra | |||
Ankhen (1968) | Sahir Ludhianvi | Philosophical Songs, Romantic Songs | |||||
milti hai zindagi me mohabbat kabhi-kabhi

hoti hai dilbaro ki inaayat kabhi-kabhi
hoti hai dilbaro ki inaayat kabhi-kabhi
sharma ke munh na pher, nazar ke sawaal par

laati hai aise mod pe, kismat kabhi-kabhi
laati hai aise mod pe, kismat kabhi-kabhi
milti hai zindagi me mohabbat kabhi-kabhi
khulte nahi hai roz dariche bahar ke
khulte nahi hai roz dariche bahar ke
aati hai jaaneman ye qayamat kabhi-kabhi
aati hai jaaneman ye qayamat kabhi-kabhi
milti hai zindagi me mohabbat kabhi-kabhi
tanha na kat sakege javani ke raste
tanha na kat sakege javani ke raste
pesh aayegi kisi ki zarurat kabhi-kabhi
pesh aayegi kisi ki zarurat kabhi-kabhi
milti hai zindagi me mohabbat kabhi-kabhi
phir kho na jaaye ham kahi duniya ki bhid me

milti hai paas aane ki mohalat kabhi-kabhi
milti hai paas aane ki mohalat kabhi-kabhi
hoti hai dilbaro ki inaayat kabhi-kabhi
milati hai zidagi me mohabbat kabhi-kabhi