Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Meri Zindagi Me Aate To Kuch Aur Baat Hoti
|
Mohammed Rafi | Shankar Jaikishan | Shashi Kapoor, Asha Parekh | |||
Kanyadan (1968) | Hasrat Jaipuri | Romantic Songs | |||||
unki zulfe unke chehre se hataa saktaa nahi
dil ki betaabi kisi surat chhupaa sakataa nahi
kitni dilkash hai mohabbat ki javaan majaburiyaan
saamne mazil hai aur paanv badhaa saktaa nahi
meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
o kuchh aur baat hoti
meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
ye nasib jagmagaate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
kai baar mil chuki hai ye hasi-hasi nigaahe
kai baar mil chuki hai ye hasi-hasi nigaahe
vo hi bekrariya hai na mili khushi ki raahe
mere dil se dil milaate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
mujhe kyaa garaz kisi se hanse phul yaa sitaare
mujhe kyaa garaz kisi se hanse phul yaa sitaare
hai meri nazar me phike ye javaan-javaan nazaare
agar aap muskaraate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
ye khushi rahe salaamat yun hi jashn ho suhaanaa
ye khushi rahe salaamat yun hi jashn ho suhaanaa
jise sun rahi hai duniyaa mere dil kaa hai taraanaa
mere saath tum bhi gaate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
meri zindagi me aate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti
ye nasib jagmagaate to kuchh aur baat hoti
to kuchh aur baat hoti