Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Meri Zindagi Ek Aisa Diya
|
Asha Bhosle | Manna Dey | ||||
Naina (1953) | Uddhav Kumar | ||||||
meri zindagi ek aisa diya
meri zindagi ek aisa diya
jo bujhe bhi nahi aur jale bhi nahi
meri zindagi
milengi kisi ki sahare ko baahe
yahi sochkar chal rahi thi main raahe
milengi kisi ki sahare ko baahe
yahi sochkar chal rahi thi main raahe
mila bhi to sathi to aisa mila
jo ruke bhi nahi aur chale bhi nahi
meri zindagi
gin gin ke taare main din kaat leti
lekin ghatao ko ye bhi na bhaya
chaaro taraf ghumta phirna hai jaya
har ek kadam par hai saapo ka dera
savera bhi ban gaya hai andhera
har ek kadam par hai saapo ka dera
savera bhi ban gaya hai andhera
ye kaisa jahan jisme kismat ka suraj
uge bhi nahi aur dhale bhi nahi
meri zindagi ek aisa diya
jo bujhe bhi nahi aur jale bhi nahi
meri zindagi