Lyrics of Mere Samne Wali Khidkee Me - मेरे सामने वाली खिडकी में
mere samnewali khidki me, ek chand ka tukda rehta hai

afsos ye hai ke wo hamse, kuchh ukhda ukhda rehta hai

jis roj se dekha hai usko, ham shamma jalana bhul gaye

dil thamke aise baithe hai, kahi aana jana bhul gaye
ab aath paher in aankho me, wo chanchal mukhda rehta hai
mere samnewali khidki me, ek chand ka tukda rehta hai
mere samnewali khidki me, ek chand ka tukda rehta hai
barsat bhi aakar chali gayi, badal bhi garajkar baras gaye

par usaki ek jhalak ko ham, ai husn ke malik taras gaye
kab pyas bujhegi aankho ki, din rat ye dukhda rehta hai