Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mere Naghmo Me Un Mastana
|
Talat Mehmood | Shyam Sundar | ||||
Alif Laila (1953) | Sahir Ludhianvi | ||||||
mere nagmo me un mastana aankho ki kahani hai
mohabbat hi mohabbat hai jawani hi jawani hai
mere nagmo me
kisi ke nazmi jalwe meri dunia pe chaye hai
kisi ke nazmi jalwe meri dunia pe chaye hai
wo meri aarzu wo meri aarzu bankar
mere dil me samaye hai mujhe ab unke dil me
aarzu apni jagani hai
mohabbat hi mohabbat hai jawani ki jawani hai
mere nagmo me
mohabbat meri dunia hai mohabbat sayri meri
mohabbat mera nagma hai mohabbat jindagi meri
mohabat ke sahare mohabbat ke sahare
ek nayi dunia basani hai mohabbat hi mohabbat hai
jawani hi jawani hai mere nagmo me
chala hu leke us mahfil me apne dil ka najrana
chala hu leke us mahfil me apne dil ka najrana
meri hasti hai unke pyar ka rangin afsana
nigahe char karke aaj kismat aazmani hai
mohabbat hi mohabbat hai jawani hi jawani hai
mere nagmo me mere nagmo me un mastana
aankho ki kahani hai mohabbat hi mohabbat hai
jawani hi jawani hai mere nagmo me