Lyrics of Mere Munna Mere Chanda (Kishore) - मेरे मुन्ना मेरे चंदा
mere munna, mere chanda
sundar rajkumar
jab se tu aaya mere dwaar
mujhko badla badla sa
lagta hai sara sansar
mujhko badla badla sa
lagta hai sara sansar
mere munna, mere chanda
sundar rajkumar
mere sang naate me laadle
tu ek sargam hai
mai to keval andhkaar hu
tu ek umang hai
tu aaya mere ujde ghar me
banke basant bahar
banke basant bahar
mere munna, mere chanda
sundar rajkumar
jab se tu aaya mere dwaar
mujhko badla badla sa
lagta hai sara sansaar
tujhe dekh mera man karta hai
main balak ban jaau
jaake kisi ki sooni god me
chupke se so jaau
tujhko dekh mujhe yaad aa gaya
ek mata ka pyar, ek mata ka pyar
mere munna, mere chanda
sundar rajkumar
jab se tu aaya mere dwaar
mujhko badla badla sa
lagta hai sara sansaar
mujhko badla badla sa
lagta hai sara sansaar
mere bacche, mere bete
sundar rajkumar