Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mere Mehbub Tere Dum Se Hai
|
Mohammed Rafi | Shankar Jaikishan | ||||
Bhai Bhai (1970) | Hasrat Jaipuri | ||||||
mere mehbub tere dum se hai duniya pe bahar
varna iss gam se bhari duniya me kya rakha hai

mere mehbub tere dum se
apne geeto me tera husn nazar aaya hai
iss liye dil teri mehfil me mujhe laya hai
raasta bhul gaya ya meri manzil hai yehi

koi batlaye ke kya khoya hai kya paaya hai
mere mehbub tere dum se hai duniya pe bahar
varna iss gam se bhari duniya me kya rakha hai
varna iss gam se bhari duniya me kya rakha hai
mere mehbub tere dum se
teri aankho me nazar aayi hai jannat mujhko
meri jannat teri aankho ke siva koi nahi
main tassavvur me tere jhum liya karta hu

meri daulat teri chahat ke siva koi nahi
mere mehbub tere dum se hai duniya pe bahar
varna iss gam se bhari duniya me kya rakha hai
varna iss gam se bhari duniya me kya rakha hai
mere mehbub tere dum se
zindgani me kayi rang ke mod aate hai
tu salamat rahe shayar ki dua kahti hai
chaand ghatta hai ghate husn tera badhhta rahe

main rahu ya na rahu meri wafa kahti hai