Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mere Chhahat Rahegi Hamesha Jawaan
|
Mohammed Rafi | Ravi | ||||
Mehmaan (1974) | Sahir Ludhianvi | ||||||
meri chahat rahegi hamesha jawa
jism dhalne se jajbat dhalte nahi
meri chahat rahegi hamesha jawa
jism dhalne se jajbat dhalte nahi
maut aane se bhi pyar marta nahi
dam nikalne se arman nikalte nahi
lakh toofan ho hum na ghabrayenge
tu na aayegi milne to hum aayenge
lakh toofan ho hum na ghabrayenge
tu na aayegi milne to hum aayenge
jaan par khelne se jhijhakte hai jo
wo mohabbat ki raho pe chalte nahi
jaan par khelne se jhijhakte hai jo
wo mohabbat ki raho pe chalte nahi
humne choda na chodenge daman tera
jisko apna liya usko apna liya
humne choda na chodenge daman tera
jisko apna liya usko apna liya
ho sake to hame umar bhar aazma
mausmo ki tarah hum badalte nahi
ho sake to hame umar bhar aazma
mausmo ki tarah hum badalte nahi
tu mile na mile par salamat rahe
dur hi ki sahi tujhse nissbat rahe
tu mile na mile par salamat rahe
dur hi ki sahi tujhse nissbat rahe
zindagi bhar teri mujhko hasrat rahe
hasrato ke bina khwab palte nahi
zindagi bhar teri mujhko hasrat rahe
hasrato ke bina khwab palte nahi
meri chahat rahegi hamesha jawa
jism dhalne se jajbat dhalte nahi
maut aane se bhi pyar marta nahi
dam nikalne se arman nikalte nahi