Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mere Aansuo Meri Hasrato
|
Suraiya, G. M. Durrani | Husnlal Bhagatram | ||||
Aaj Ki Raat (1948) | Rajinder Krishan | ||||||
mere aasuon meri hasrato meri zindagi ko ye kya hua
na hansi rahi na khushi rahi na jahaan mein apna koi raha
na apna koi raha na apna koi raha
tere dil pe maine sitam kiya teri har khushi ko mita diya
teri muskurahat chhin kar tumhe aasuon me chhupa diya
ye kya kiya ye kya kiya
mere dil ki duniyaa jo lut gayi nahi isme teri koi khtaa
tera pyar mera na ho saka ye hai dosh mere naseeb ka naseeb ka naseeb ka
kahin aasra na jise mila use tune apna bana liya
mujhe tujhse dil ki khushi mili
mujhe tujhse dil ki khushi mili tujhe maine pyar ka gum diya
ye kya kiya ye kya kiya
bada khushnaseeb hai dil mera jise tere pyar ka gum mila
gum mila
mujhe tere gum se bhi pyar hai tere pyar hi ne ye gum diya
gum diya gum diya