Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mere Aansu Meri Aahen
|
Lata Mangeshkar | Sachin Dev Burman | Nargis, Nasir Khan | |||
Angaarey (1954) | Sahir Ludhianvi | ||||||
jane wale
mere aansu meri aahe le ja
sath apne meri betab nigaahe le ja
us basti ko janewale let ja paigam mera
leta ja paigam mera
dil ke malik se kah dena hasrat bhara salam mera
leta ja paigam mera
us basti ko janewale
o o
ek taraf duniya ke sadme
ek taraf gam duri ke
ek taraf duniya ke sadme
ek taraf gam duri ke
kaun sune kisko samajhau
dukh apni majburi ke
mumkin ho to le ja
apne sath dil-e-nakam mera
leta ja paigam mera
us basti ko janewale
o o
meri khataye apni wafaye
ab na kabhi vo yaad kare
meri khataye apni wafaye
ab na kabhi vo yaad kare
kah dena ab meri khatir
umar na vo barbaad kare
chod ke mere haal pe mujhko
dil se bhula de naam mera
dil se bhula de naam mera
us basti ko janewaale