The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Mera Shayar Hai Tu
0
Anuradha Paudwal, Pankaj Udhas Naresh Sharma
Maina (1992)
Lyrics of Mera Shayar Hai Tu - मेरा शायर है तू

mera shayar hai tu mera nagama hai tu
meri jannat hai tu meri duniya hai tu
mera shayar hai tu mera nagama hai tu
meri jannat hai tu meri duniya hai tu
dil mein mujhe rakh liya
aji shukriya aji shukriya
meri dhadkan hai tu meri chahat hai tu
meri manjil hai tu meri kismat hai tu
pyar mujhe de diya
tera shukriya tera shukriya

janmo se pyara tu sanam
tu mera jivan mera janm
wado ka kya hai kasamo ka kya
tu mera wada meri kasam
tu mera dil hai tu jaan hai
jivan mein tera aehsan hai
sanso ka jivan se
khushbu ka phulo se
dil ka jo rishta hai
wo hamara rishta hai
mera shayar hai tu mera nagama hai tu
meri dhadkan hai tu meri chahat hai tu

rishta hamara janmo ka hai
pyara milan do raho ka hai
lagta hai aisa pake tujhe
ye pyar apna sadiyo ka hai
jitne janm bhi hamne liye
ek dusre ke ban ke jiye sagar ne maujo ne
chanda ne taro ne dharti ne ambar ne
dekha hai apna milan
mera shayar hai tu mera nagama hai tu
meri jannat hai tu meri duniya hai tu
dil mein mujhe rakh liya
aji shukriya aji shukriya
meri dhadkan hai tu meri chahat hai tu
meri manjil hai tu meri kismat hai tu
pyar mujhe de diya
tera shukriya tera shukriya