Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mera Pyaar Haar Gaya Haay Re
|
Zubeida Khanum | |||||
Naagin (1959) | Sad Songs | ||||||
ro rahi hain hasarate
milna bahut dushvaar hai
iss taraf mai uss taraf too darmiya divaar hai
mera pyaar haar gaya haay re
maangi khushi duhkh paaye re
koi kahan ab jaaye re
mera pyaar haar gaya haay re
baras rahi hain aankh se chham chham
baras rahi hain aankh se chham chham
bin badal barsate
ojhal ho gaya chaand najar se
naagin ban gayi raate
haay nagin ban gaayi raate
dil baar baar ghabaraaye re
maangi kushi duhkh paaye re
koi kahan ab jaaye re
mera pyaar haar gaya haay re
be-par hu mai paas tumhaare
be-par hu mai paas tumhaare
kaise ud kar jaaun
sar takara kar iss pinjare se
mai na kahin mar jaau
haay mai na kahin mar jaau
roye nain chain nahi aaye re
maangi kushi duhkh paaye re
koyi kahan abb jaaye re
mera pyaar haar gaya haay re