Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mera Paigaam Mohabbat Ke Siva
|
Mohammed Rafi | Madan Mohan | ||||
Madan Mohan - Tere Bagair (2009) | Rajinder Krishan | ||||||
aaj kuch kehana hai mujhko jo ijajat hogi
baat chhoti si hai sun lo toh inaayat hogi
aa aa aa aa
mera paigaam mera paigaam
paigaam paigaam
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
zindagi pyar ki raahat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
ek bimaar-e-mohabbat se yeh puchha maine
ek bimaar-e-mohabbat se yeh puchha maine
ishq mein tune yeh kya haal bana rakha hai
woh tare yaar ki chilman ko dikhakar bola
mere mehbub ko mere mehbub ko
parado mein chhupa rakha hai
kya zamane mein kya zamane mein
adaavat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
bewajah duniya ne nindon mein khalal daal diye
bewajah duniya ne nindon mein khalal daal diye
chahne walo ne jab khwab sunhere dekhe
dekhne walo ne in pyar ki raaho mein sada
ya toh deewarein ya toh deewarein
hi dekhi hai ya pehare dekhe
yeh mohabbat hai ji hai ji ha
yeh mohabbat toh ibaadat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
yeh bhi dastur mohabbat ka nirala dekha
yeh bhi dastur mohabbat ka nirala dekha
ek pardo mein jale dusra baazaro mein
iss tarah tanaha tadapne se toh acha hoga
jinda chunva de koi jinda chunva de koi
dono ko deewaron mein
ishq mein maut bhi aji ha ishq mein maut bhi
raahat ke siva kuch bhi nahi
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi
zindagi pyar ki raahat ke siva kuch bhi nahi haye
mera paigaam mohabbat ke siva kuch bhi nahi