Lyrics of Maut - दिल की धड़कन हैं या गोलियों का शोर हैं
dil ki dhadkan hai ya goliyo ka shor hai
faasle ho jayenge najdik
aaja mila le dil
jala le zindagi ko
na jane kab milegi ye nasib
dil nahi to chain nahi, rain nahi, sain nahi
ye khayal to khaye jaye
jeena to maut hai na jane kab aayega
kise bulake, ye kise le jayega maut
jeene ke liye jaruri hai ye, maut
kaise ban gayi majburi hai ye, maut
lena dena tab pata chalta hai, maut
kamai ka andaza milta hai
jinda hoke mar gaya main
marke jinda ho gaya
dil ki dhadkan me zindagi ka shor hai ye
kyu manate ho shok ae hadim
har sawal jawab ka tu jod hai
ye khayal tu tay kare
jeena to saar hai, pyar hai, yaar hai
bhatko ko ye to raah dikhaye
jeena to jeena hai
marna hai to marna hai
jiska waqt aaya hai usi ko chale jana hai
maut
sirf raahe badal jate hai, maut
naye dwar khul jate hai, maut
lena dena tab pata chalta hai, maut
kamai ka andaza milta hai
bekhabar hai sawali nishan hai ye
mil jaye jo wo ae nasib
jeena tufani hai baaki sab byani hai
chhuke leke jaati hai zindagi
mera bulava hai ye zindagi ka dava hai
mujhe bulaye ye tujhe bhi bulaye
palat ke hawa muskuraye
meri maut, teri maut
iski uski sabki bas maut, maut
jeene ke liye jaruri hai ye, maut
kaise ban gayi majburi hai ye, maut
lena dena tab pata chalta hai, maut
kamai ka andaza milta hai
maut
sirf raahe badal jate hai, maut
naye dwar khul jate hai, maut
lena dena tab pata chalta hai, maut
kamai ka andaza milta hai
jeene ke liye jaruri hai ye, maut
kaise ban gayi majburi hai ye, maut
lena dena tab pata chalta hai, maut
kamai ka andaza milta hai, maut