The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Matlab Ke Andhe Hai
0
Mohammed Aziz Ravindra Jain
Hatyaare (1990) Ravindra Jain
Lyrics of Matlab Ke Andhe Hai - मतलब के अंधे है

matlab ke andhe hai lalach ke maare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain
ye wo hatyare hain ye wo hatyare hain
inke haatho girwi sab khawab hamare
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain

farishto se nazar aaye dharm avtaar lagte hain
hame lekin dareendo se bhi khunkhar lagte hain
sarafat ka pahn jama sarafat ko lajate hain
yahi wo log masoomo ko jo zinda jalate hain
ye dil ke risto pe chalte huye aare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain
ye wo hatyare hain ye wo hatyare hain

mile ilzaam chhale daag inki mehrbaani se
sukun ki mout achi hai tadap ki zindgaani se
kaha khawabo ki jannat hai muhabbat ka samandar hai
ise sasuraal kya kahiye ye ghar dojakh se badtar hai
hamne to yaha lamhe ro ro ke gujare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain
ye wo hatyare hain ye wo hatyare hain

agar bhagwan bahra ho to shyad usko yaad kya keeje
jaha pe dard ho haakim kya keeje
khusi se kaatilo me kon likhwata hai naam apna
bahut mazboor hone pr liya hai intkaam apna
ham sabse jeete hain takdeer se haare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain
matlab ke andhe hai lalach ke maare hain
jajbaat ki hatya karte hain ye wo hatyare hain