Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mastana Ada Behki Behki
|
Mohammed Rafi | Usha Khanna | ||||
Trip To Moon (1969) | |||||||
mastana ada behki behki
mastana ada behki behki aisi ke jamana mar jaye
julfo ko tumhari dekh le jo wo nagan samajh ke dar jaye
mastana ada behki behki
tum ho ke jidhar se gujro log nakshe kadam ko chume
pade jin par najar matwali bin piye wo nashe me jhume
tum maano na maano hai ye duniya tumhari
tum maano na maano hai ye duniya tumhari
ek halki najar ho idhar bhi agar
to hamari bhi dunia sawar jaye, julfo ko tumhari dekh le jo
pyar karna agar tum sikho dil tum par fida ham kar de
chand tika bane mathe ka aur taro se aanchal bhar de
hai ye daawa hamara ke ye chehra tumhara
hai ye daawa hamara ke ye chehra tumhara
phul aisa bane jo kahi na mile aur pehle se jyada nikhar jaye
zulfo ko tumhari dekh le jo wo nagan samajh ke dar jaye
mastana ada behki behki
main sadke tere us dil ke jurm karna hi jisko aaya
jara mere bhi tewar dekho ke mujhe bhi yahi to bhaya
gori sunke hi jaana mere dil ka fasana
gori sunke hi jaana mere dil ka fasana
pyaar tera chain jise lene na de wo bechara kaha jaye
zulfo ko tumhari dekh le jo wo nagan samajh ke dar jaye
mastana ada behki behki aisi ke jamana mar jaye
mastana ada behki behki