Lyrics of Martaba Naam Aur Izzat - मरतबा, नाम
martab, naam
martab, naam aur izzat nahi acchi lagti
martab, naam
martab, naam aur izzat nahi acchi lagti
martab, naam aur izzat nahi acchi lagti
martab, naam aur izzat nahi acchi lagti
kaun hai wo, kaun hai wo
jise shohrat nahi acchi lagti
kaun hai wo jise shohrat nahi acchi lagti
kaun hai wo
humko ye aapki aadat nahi acchi lagti
humko ye aapki aadat nahi acchi lagti
humko ye aapki aadat nahi acchi lagti
pyar ke waqt
pyar ke waqt shikayat nahi acchi lagti
pyar ke waqt shikayat nahi acchi lagti
pyar ke waqt
log isko bhi adakari samajh lete hai
log isko bhi adakari samajh lete hai
log isko bhi adakari samajh lete hai
had se jyada
had se jyada bhi shrafat nahi acchi lagti
had se jyada bhi shrafat nahi acchi lagti
had se jyada
bhukh lagti hai to jajbaat bhi mar jate hai
bhukh lagti hai to jajbaat bhi mar jate hai
bhukh lagti hai to jajbaat bhi mar jate hai
pet khali
pet khali ho to chahat nahi acchi lagti
pet khali ho to chahat nahi acchi lagti
pet khali
maine jinke liye mehnat se kamayi daulat
maine jinke liye mehnat se kamayi daulat
maine jinke liye mehnat se kamayi daulat
wo nahi hai
wo nahi hai to ye daulat nahi acchi lagti
wo nahi hai to ye daulat nahi acchi lagti
maine jinke liye mehnat se kamayi daulat
hai dardnak ye bhi garibi ki daasta
ek naujawan ke the bahan, bhai, budhi maa
na meharba tha waqt to bigda nasib tha
ye khandan shahar me sabse garib tha
ek roj, ek roj
naujawan ko aaya yu hi khayal
pardes jake main dikhau apna kuch kamal
phir kar liya irada
ke mehnat karunga main
daulat kamake, maa ki bhi khidmat karunga main
ujde huye se ghar ko main gulshan banaunga
bhai ko raja, bahan ko dulhan banaunga
roji ke waaste, wo watan se nikal gaya
jaise ke ek phul chaman se nikal gaya
maausiya thi aur andhereo ka tha safar
lekin naujawa ki ujalao pe thi khabar
himmat se, hausle se wo manjil pe aa gaya
tuta hua safina bhi sahil pe aa gaya
pahle uthaya bojh bhi majdur ki tarah
aksr hua jalil bhi majbur ki tarah
phir rafta rafta kaam nikalta chala gaya
dushvar raasto me sambhalta chala gaya
pahchan badhte badhte use naukri mili
julmat kade me jaise nayi roshni mili
kuch meharban uspe jo taqdeer ho gayi
khud apne karobar ki tadbeer ho gayi
phir usne karobar ko aisa jama liya
uski talab se jyada hi paisa kama liya
nikla tha ghar se jo
kabhi muflis ke haal me
wo shahjada ban gaya bas chand saal me
jab ban gaya amir
to aayi watan ki yaad
maa ka khayal aaya to
bhai bahan ki yaad
jab ghar lautne laga
wo leke maal-o-jar
tab usko raaste me mili ye buri khabar
ke uske, ke uske watan me
kuch bure halat ho gaye
khud uske shahar me hi fasanat ho gaye
aaya wo shahar me to the manjar jale huye
aaya wo shahar me to the manjar jale huye
aankho ne uski dekhe kai ghar jale huye
aankho me ashq the to jigar ho gaya tha chaak
khud uska ghar bhi ho gaya
sholo me jalke khak
maa bhi, bahan bhi, bhai bhi
sholo me jal gaye
arman uske jitne the
ashqo me dhal gaye
jo hath, jo hath usne socha tha jannat banayenge
kya thi khabar ajijo ki turbat banayenge
kya jane kis tarah wo ye sadma bhi sah gaya
daulat ko daala aag me aur roke kah gaya