Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mar Jayenge Hum Phir Bhi Sajan Yahi Kahenge
|
Asha Bhosle | Chitalkar Ramchandra | ||||
Tulsi Vivah (1971) | Kavi Pradeep | Classical Songs | |||||
hum paraye nahi hai suno sajna
apne charno ki dhul hame samjho
ek din jo nyochawar hua tum par
wohi pooja ka phul hame samjho
mar jayenge hum fir bhi sajan yahi kahenge
tumhare rahe hai tumhare rahenge
mar jayenge hum fir bhi sajan
hum uff na karenge piya tum mar lo kode
hum uff na karenge piya tum mar lo kode
nari wo sati hai jo kabhi dharam na chode
kabhi dharam na chode
jab sukh yaha paye to hum dukh bhi sahenge
tumhare rahe hai tumhare rahenge
mar jayenge hum fir bhi sajan
ab to piya jhukne laga sansar hai tumko
thokar se uda do hamko adhikar hai tumko
ab to piya jhukne laga sansar hai tumko
thokar se uda do hamko adhikar hai tumko
ab jahar bhi de doge to hum has ke piyenge
tumhare rahe hai tumhare rahenge
mar jayenge hum fir bhi sajan
nari to hai dunia me piya ek paheli
nari to hai dunia me piya ek paheli
yug yug se rahi hai ye to aasu ki saheli
aasu ki saheli aasu bhi bahenge to bhi ye kahke bahenge
tumhare rahe hai tumhare rahenge
mar jayenge hum fir bhi sajan yahi kahenge
tumhare rahe hai tumhare rahenge
mar jayenge hum fir bhi sajan