Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mann Meraa Udata Jaye Badal Ke Sang
|
Lata Mangeshkar | Hemant Kumar | ||||
Maa Beta (1962) | Prem Dhawan | ||||||
man mera udta jaye
badal ke sang dur gagan me
aaj nashe me gaata git milan ke re
rimjhim rimjhim rimjhim
aas ke pankh lagakar panchi mastana
pi ki nagariya aaj chala dil divana
ghan ghan badal garje to kya
cham cham bijli chamke to kya
chanchal man to rukna kahi na jane re
man mera udta jaye
badal ke sang dur gagan me
uthti hai jaise sagar me
kal kal chal chal karti tarange
man me vaise hi jaag rahi
pal pal vyakul mast umange
aaj na roko pyar ke is divane ko
hatho se dil jata hai to jane do
tod chala ye bandhan sare
jaha sajan ka pyar pukare
pagal hai man kab ye kisi ki mane re
man mera udta jaye
badal ke sang dur gagan me