Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Manavta Hogi
|
Lata Mangeshkar | Kalyanji Anandji | ||||
Manavata (1972) | Indeevar | ||||||
manavata hogi kisi aur mein na aisi
manavata hogi kisi aur mein na aisi
pavanata tujhme hai ganga ke jaisi
phir bhi main pyasi preet teri kaisi
manavata hogi kisi aur mein na aisi
pavanata tujhme hai ganga ke jaisi
ho tujhe chand tare dekhte hai sare
darshan ko vyakul hai naina hamare
darpan sa nirmal hirday tera komal
phir kyun tu baitha hai mujhko bisare
kiran tujhko chume pawan lipat jhume
ek main hi tarsu ye reet teri kaisi
manavata hogi kisi aur mein na aisi
pavanata tujhme hai ganga ke jaisi
o tu hai ratan mera jag hai lutera
chhin le na koi ye jivan dhan mera
o tu hai ratan mera jag hai lutera
chhin le na koi ye jivan dhan mera
sabako pyar bante mujhe diye kante
nirmohi sajana ye reet teri kaisi
manavata hogi kisi aur mein na aisi
pavanata tujhme hai ganga ke jaisi
ho mahak uthe madhuban nanch uthe aangan
pyasi dharti ne bhi paya hai sawan
tere man ke andar pyar ka samandar
phir bhi kyun khali mera hi daman
tune o sawariya li na kyun khabariya
jale ko jalaye ye reet teri kaisi
manavata hogi kisi aur mein na aisi
pavanata tujhme hai ganga ke jaisi
phir bhi main pyasi preet teri kaisi
manavata hogi kisi aur mein na aisi
pavanata tujhme hai ganga ke jaisi