Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Maine Chand Aur Sitaro Ki Tamanna Ki Thi
|
Mohammed Rafi | N Datta | Bina Roy, Bharat Bhushan | |||
Chandrakanta (1956) | Sahir Ludhianvi | Sad Songs | |||||
maine chand aur sitaro ki tamanna ki thi

mujhko rato ki siyahi ke siva kuch na mila

mai vo nagma hu jise pyar ki mahafil na mili

vo musafir hu jise koi bhi manzil na mili

zakhm paye hai baharo ki tamanna ki thi
maine chand aur sitaro ki tamanna ki thi
kisi gesu kisi aanchal ka sahara bhi nahi

raste me koi dhundhla sa sitara bhi nahi

meri nazro ne nazaro ki tamanna ki thi
maine chand aur sitaro ki tamanna ki thi
mujhko rato ki siyahi ke siva kuch na mila
maine chand aur sitaro ki tamanna ki thi
meri raaho se juda ho gai raahe unki
meri raaho se juda ho gai raahe unki
aaj badli nazar aati hai nigahe unki
aaj badli nazar aati hai nigahe unki
jisse is dil ne saharo ki tamanna ki thi
maine chand aur sitaro ki tamana ki thi
pyar manga to sisakte huye araman mile
pyar manga to sisakte huye araman mile
chain chaha to umadate huye tufan mile
chain chaha to umadate huye tufan mile
dubte dil ne kinaro ki tamanna ki thi
maine chand aur sitaro ki tamanna ki thi
mujhko rato ki syahi ke siva kuch na mila