Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Maine Bhi Husn Ki Najaro Mein Jagah Payi Hai
|
Talat Mehmood | Ravi | Sayeeda Khan, Vijay Kumar | |||
Wanted (1961) | Shakeel Badayuni | Romantic Songs, Happy Songs | |||||
maine bhi husn ki nazro me jagah payi hai
tum mile ho to mohabbat se bahar aayi hai
mere sine pe zara hath to rakh kar dekho
dil ki dhadakan ye nahi pyar ki shahnai hai

ye hasi rup ye zulfo ke nashile saye
jaise bhar pur kayamat pe shabab aa jaye

rukh se parde ko zara der hata rahne do
tum ko dekhega vahi jis ki qaza aayi hai
rukh se parde ko zara der hata rahne do
tum ko dekhega vahi jis ki qaza aayi hai
mere sine pe zara hath to rakh kar dekho
dil ki dhadakan ye nahi pyar ki shahnai hai
dil to kya jan bhi mai tum pe luta sakta hu
zindagi maut ke parde me chhupa sakta hu
mujhe gam do ki khushi ab hai tumhari marzi
maine to ishq me mitne ki qasam khayi hai
mere sine pe zara hath to rakh kar dekho
dil ki dhadakan ye nahi pyar ki shahnai hai
ishq ki raah me sahil bhi hai tufan bhi hai
is me izzat bhi hai rusvai ke saman bhi hai

meri jan dunia ke dar se na badal jana tu
kyon ki ab mil ke na milne me bhi rusvai hai