Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Main Sunata Hu Tujhe Ek Kahani Sun Le
|
Mohammed Rafi | Ravi | ||||
Khandan (1965) | Rajinder Krishan | ||||||
mai sunata hu tujhe ek kahani sun le
o mere lal zara meri zubani sun le
mere nanhe mere munne meri aulad hai tu
maine bhagwan se jo ki thi wo fariyad hai tu
bap hu tera magar tujhko khila sakta nahi
dono hatho se kabhi tujhko utha sakta nahi
tu agar chahe ke ban jau mai tera ghoda
jo na ban pau to dukh hoga tujhe bhi to
lekin ek bat mere bache tujhe yaad rahe
lekin ek bat mere bache tujhe yaad rahe
dil teri ma ka tere pyar se aabad rahe
tu hoke bada ban jana apni mata ka rakhwala

badkismat ke ghar me paida hua hai kismat wala

tere do hatho ki takat hi takdir hai teri

mehnat jiska naam hai wo jagir hai teri
har mushkil se lad sakta hai do do hatho wala
tu hoke bada ban jana apni mata ka rakhwala
tu hoke bada ban jana apni mata ka rakhwala
dekh kisi ke raste ki diwar kabhi na hona

jab tak jage tera padosi tab tak tu na sona
dard paraye ka leta hai koi nasibo wala
tu hoke bada ban jana apni mata ka rakhwala
tu hoke bada ban jana apni mata ka rakhwala
pav jaha tere pad jaye phul waha khil jaye

pyar se tere bichhde dil bhi aapas me mil jaye
kahta hai ye chand sa tukda tu hai mohabbat wala